Shayari...
(Exclusively for the Englidh readers who understand Hindi. Others pls excuse...)
One more thing. All but one are borrowed. Which is the odd man out? That's for u to find out.
Garmiyain hasratain nakam se jal jate hai
Hum Charago ki tarah shaam se jal jate hai
Shama jo saath main jalti hai numais ke liye
Us hi aag main hum gumnam se jal jate hai
Jab bhi aata hai tera naam mere naam ke saath
Jane kyon log mere naam se jal jate hain..
Jeena to humne bahot chaha
par jindagi hamare bas main kahan
har koi jise chahe
woh aashiyan use milta kahan
Bulbul bahar-e-chaman main chahakti jaroor hai
Shakhe chaman main lachakti jaroor hai
Choopta nahi nakab main aalam-e-sabab hoozoor ka
Kali khilti hai to mahakti jaroor hai
Mohabbat hum ne mana
Jindagi barbad karti hai
Yeh kya kam hai ke mar jane pe
Duniya yaad karti hai
Tuze chahane fitrat si ho gayi hai
Tere deedar ke bina aakhe num si ho gayi hai
Tere masoon chehre se uthti har hasee ki kasam
Tuze yaad karna aadat si ho gayi hai
9 Comments:
#4 is the odd man out?
come on kathak.. u can do better than that.
#4 is actually the lines from a song in Mughal-e-Azam.
Teri Mehphil main kisam aaajmakar hum bhi dekhenge..
ghadi bhar ko tere najdik aakar hum bhi dekhenge..
Mohabbat hum ne mana
Jindagi barbad karti hai
Yeh kya kam hai ke mar jane pe
Duniya yaad karti hai
teri mohabbat main duniya lutakat hum bhi dekhenge...
Tere kadmo main sar aapna zooka kar hum bhi dekhende....
Baaki saare sune hue se lagte hain. If not #4, then my next bet would be #2
Two down three to go....
"बाकी सब सुने से लगते है" से क्या मतलब है तुम्हारा ?
वैसे मेरी शायरी भी तुम ने पहले सुनी हुयी हो सकती है....
बाकी सब सुने से लगते हैं का मतलब यही है कि वह सुने हुये हैं। खैर,#2 भी नही, तो #1??
आखिर इनसान खुद की तारीफ ही पहले करता है!!!
It's getting to the wire...
One on one between #3 and #5.
By the way, #1 is from Bipasha and Dino starrer "Raaz...".
इनसान खुद की तारीफ पहले करता है, पर महबुब की तारीफ सबसे पहले करता है |
It's good enough an hint :)
#5
bull's eye...!!!
Its a good one :)
Post a Comment
<< Home